Sunday, 22 April 2012

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein,
Use Uski Saheliyon Ne Sajaya Hoga…


Meri Jaan Ke Gore Haathon Per
Sakhiyon Ne Mehndi Ko Lagaya Hoga…


Bahut Gehra Chadega Mehndi Ka Rang,
Us Mehndi Mein Usne Mera Naam Chupaya Hoga…


Reh Reh Ker Ro Padegi
Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga…


Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Mein,
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga…


Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh,
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga…


Aaj Meri Jaan Ne
Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga…


Usne Beti Hone Ka
Doston Aaj Har Farz Nibhaya Hoga…


Majboor Hogi Woh Sabse Jyada,
Sochta Hoon Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga…


Apne Haathon Se Usne
Hamare Prem Ke Khaton Ko Jalaya Hoga…


Khud Ko Majboot Nana Ker Usne
Apne Dil Se Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga…


Toot Jaayegi Tasveer Meri,
Jab Uski Maa Ne Tasveer Ko Table Se Hataya Hoga…


Ho Jaayenge Laal Mehndi Waale Haath,
Jab Un Kaanch Ke Tukdon Ko Usne Uthaya Hoga…


Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Mein,
Kuch Na Us Pagli Ne Mere Bageir Khaya Hoga…


Kaise Sambhala Hoga Khudko
Jab Use Fairon Ke Liye Bulaya Hoga…


Kaampta Hoga Jism Uska,
Haule Se Pandit Ne Haath Uska Kissi Or Ko Pakdaya Hoga…


Mein To Majboor Hoon Pata Hai Use,
Aaj Khud Ko Bhi BebJAas Sa Usne Paaya Hoga…


Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska,
Jab Waqt Uski Vidayi Ka Aaya Hoga…


Bade Pyaar Se Meri Jaan Ko
Maa Baap Ne Doli Mein Bithaya Hoga…


Ro Padegi Aatma Bhi
Dil Bhi Cheekha Or Chilaya Hoga…


Aaj Apne Maa Baap Ke Liye
Usne Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga…


Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse
Darr Hai Ki Zehar Chupke Se Usne Khaya Hoga…


Doli Mein Baithi Ik Zinda Laash Ko
Char Kandho Per Kaharon Ne Uthaya Hoga…

No comments:

Post a Comment